dhaar si taza lahu ki shabnam-afshani mein hai subh ek bhigi hui palkon ki tabani mein hai aankh hai labrez shayad ro padega tu abhi jaise zillat ka mudawa aankh ke pani mein hai main nahin haara tu mere hausle ki dad de ek naya azm-e-safar is khasta-samani mein hai be-samar be-rang mausam barf ki surat safed aur dil umde hue rangon ki tughyani mein hai aag hai sine mein tere maujzan tu yaad rakh shama si raushan andhere ghar ki virani mein hai an-ginat rangon ke par bikhre pade hain har taraf waqt ka ghayal parinda phir se jaulani mein hai kis ghane jangal mein ja kar ab chhupen basti ke log aankh si ubhri hui suraj ki peshani mein hai