ashk zaea ho rahe the dekh kar rota na tha jis jagah banta tha rona main udhar rota na tha sirf teri chup ne mere gal gile kar diye main to wo hun jo kisi ki maut par rota na tha mujh pe kitne sanahe guzre par in aankhon ko kya mera dukh ye hai ki mera ham-safar rota na tha main ne us ke wasl mein bhi hijr kata hai kahin wo mere kandhe pe rakh leta tha sar rota na tha pyar to pahle bhi us se tha magar itna nahin tab main us ko chhu to leta tha magar rota na tha girya-o-zari ko bhi ek khas mausam chahiye meri aankhen dekh lo main waqt par rota na tha