ajnabi se chehron par aashna si aankhen hain aashna se chehron par kuchh khafa si aankhen hain zard zard mausam se tishnagi jhalakti hai phul hain khizaon ke aur pyas aankhen hain palki bahaaron ki aane wali hai shayad nim-wa darichon mein aaina si aankhen hain phir chala hai dil le kar khwab-nak rahon par mere chaar-su ab wo rahnuma si aankhen hain yaad ki hasin kirnen jagmagain aangan mein dil ka istiara to wo dua si aankhen hain hont khushk hain mere aur qadam 'sadaf' zakhmi raat ka safar hai aur be-ziya si aankhen hain