ashkon ka ambar chhupa hai aankhon mein yar bahut aazar chhupa hai aankhon mein phul sitare jugnu titli aur dhanak yani ek sansar chhupa hai aankhon mein jhank ke tu khud ek din in mein dekh zara kitna tera pyar chhupa hai aankhon mein meri aankhen sab se ziyaada hain anmol kyon ki mera yar chhupa hai aankhon mein ek zulekha is mein yusuf dhundhti hai misr ka jo bazar chhupa hai aankhon mein aksar aata rahta hai sailab yahan tu aa ke bekar chhupa hai aankhon mein hum donon ne mil ke jis ke khwab bune yar wahi ghar-bar chhupa hai aankhon mein