bas gaya jab se aa ke tu mujh mein ek khushbu hai chaar su mujh mein aaina dekh ke main chaunk pada koi mujh sa hai hu-bahu mujh mein khud mein khud ko kahan talash karun bas tu hi tu hai chaar-su mujh mein khud ko taraj kar ke baitha hai ek wahshi lahu lahu mujh mein ho ke khamosh us ko sunta hun hai koi mahw-e-guftugu mujh mein sach kahun aaj tak bhi zinda hai tujh ko pane ki aarzu mujh mein