ashkon mein husn-e-dost dikhati hai chandni shabnam ko chaar chand lagati hai chandni ab bhi udas udas hain raaten tere baghair ab bhi bujhi bujhi nazar aati hai chandni jis ne charagh-e-sham-e-ghariban bujha diya us hath ka mazaq udati hai chandni tere farogh-e-husn se ye bhi na ho saka nazron ke hausle to badhati hai chandni khush-bu-e-intizar se mahki hui hai raat 'qabil' na jaane kis ko bulati hai chandni