ek hum hi nahin taqdir ke mare sahab log hain bakht-zada sare ke sare sahab mera neze pe saja sar hai payam-e-ghairat koi neze se mera sar na utare sahab main bhi bachpan mein khalaon ka safar karta tha khela karte the mere sath sitare sahab dafatan hum ne sila paya munajaton ka dafatan samne aae wo hamare sahab jaanwar mein haya insan se ziyaada dekhi ulte bahne lage tahzib ke dhaare sahab mujh mein duniya rahi aur main bhi raha duniya mein mujh ko ghere rahe har waqt khasare sahab taki dariyaon ki wahshat rahe hawi sab par dub jata hun main dariya ke kinare sahab istaqamat ka gala ghont ke dam lete hain kitne wahshi hua karte hain sahaare sahab shukriya aap ne bardasht to kar li ye ghazal aap bhi jaiye ab hum bhi sidhaare sahab