ashkon mein kisi gham se jo dhal jati hain aankhen phir jhil se dariya mein badal jati hain aankhen main rasta chalte hue rah jata hun pichhe aur mujh se kahin aage nikal jati hain aankhen is daur-e-sitam-gar mein ab kya nahin hota dil jab bhi badalte hain badal jati hain aankhen kyon dil ke nihan-khane mein ab dard na utthe kyon tute khilaunon se bahal jati hain aankhen 'faruq' mujhe donon ne barbaad kiya hai qabu jo karun dil ko machal jati hain aankhen