sab dida-e-hairat se takte hain dahan us ka dariya ki rawani hai ya tarz-e-sukhan us ka gul-bute hamare hain aur sehn-e-chaman us ka zinda hai abhi hum se duniya mein chalan us ka suraj bhi tapish us ke rukhsar se pata hai aur karta hai dil raushan kundan sa badan us ka guftar mein pai hai shabnam si nami us ne naghmon ki tarah gunje hai shirin sukhan us ka pardes mein rah kar bhi main zehn mein rakhta hun ek us se mera wada aur mujh se wachan us ka khwabida umangen bhi angdaiyan leti hain damke jo tasawwur mein chandan sa badan us ka mahfil mein sunata hai jab 'josh' ghazal apni sab dekhte rahte hain ejaz-e-sukhan us ka