ashkon mein qalam dubo raha hai fankar jawan ho raha hai maqtal ke dikha raha hai manzar kaghaz ko lahu se dho raha hai zalim ko sikha raha hai insaf patthar mein darakht bo raha hai parbat se lada raha hai aankhen mitti se tulua ho raha hai haari hui raat ka sawera ghunchon ki jabin bhigo raha hai zarre ko bana ke ek quwwat khud apna maqam kho raha hai lohe ko ajal ki dhaar de kar khud is ka shikar ho raha hai mahlon mein nahin kisi ko aaram foot-path pe koi so raha hai chhuta nahin dar se phul koi kanton ko koi piro raha hai khandan hain gali gali sitare ghar ghar ka charagh ro raha hai sine mein koi khayal 'zulfi' suiyan si chubho chubho raha hai