mufassal dastanen mukhtasar kar ke dikhaenge tawalat umr bhar ki jast bhar kar ke dikhaenge jo sapne dekh rakkhe hain jahan-e-dida-e-wa ne unhen tabir ke zer-e-asar kar ke dikhaenge ye wo nam-nakiyan hain jo hawa dengi alaw ko ye wo aansu hain jo khud ko sharar kar ke dikhaenge bharosa rah gaya kuchh khak ko hum par agar to hum fana ke samne jiwan basar kar ke dikhaenge talaffuz par na ho mauquf jab kuchh to maani ko kisi ke lafz kya zer-o-zabar kar ke dikhaenge ye baadal kya dikhaenge hawa ko mushtail ho kar ye patte ped ko kya dar-ba-dar kar ke dikhaenge ijaza ho gaya mojaz-bayani ka to hum tere isi tukhm-e-tahayyur ko shajar kar ke dikhaenge agar patal ban jaega us ki tah mein utrenge agar choti banega us ko sar kar ke dikhaenge guman jo os ke qatron ki surat hain abhi 'khawar' kisi din wo tumhein khud ko bhanwar kar ke dikhaenge