ashkon se kab mite hain daman ke dagh yaro aise nahin bujhenge gham ke charagh yaro har aadmi ke qad se us ki qaba badi hai suraj pahan ke nikle dhundle charagh yaro un mein khayal-e-nau ke kaise ugenge paude banjar hain mazhabon se jin ke dimagh yaro roz-e-azal se insan hai khoj mein khuda ki kis ko mila hai lekin us ka suragh yaro aankhon mein ab na aansu dil mein bhi gham nahin hai kab ke chhalak chuke hain sare ayagh yaro