aane wali thi khizan maidan khali kar diya kal hawa-e-shab ne sara lawn khali kar diya hum tere khwabon ki jannat se nikal kar aa gae dekh tera qasr-e-ali-shan khali kar diya dushmanon ne shust bandhi khema-e-ummid par doston ne darra-e-imkan khali kar diya bantne nikla hai wo phulon ke tohfe shahr mein is khabar par hum ne bhi gul-dan khali kar diya le gaya wo sath apne dil ki sari raunaqen kis qadar ye shahr tha gunjaan khali kar diya sari chidiyan ud gain mujh ko akela chhod kar mere ghar ka sehn aur dalan khali kar diya diary mein sare achchhe sher chun kar likh liye ek ladki ne mera diwan khali kar diya