asir-e-dasht-e-bala ka na majra kahna tamam puchhne walon ko bas dua kahna ye kahna raat guzarti hai ab bhi aankhon mein tumhaari yaad ka qaem hai silsila kahna ye kahna ab bhi sulagta hai jism ka chandan tumhaara qurb tha ek shola-e-hina kahna ye kahna chand utarta hai baam par ab bhi magar nahin wo shab-e-mah ka maza kahna ye kahna masnad-e-shakh-e-numu pe tha jo kabhi wo phul surat-e-khushbu bikhar gaya kahna ye kahna qarya-e-jaan mein hain dam-ba-khud sab log tamam shahr hua maqtal-e-nawa kahna ye kahna hasrat tamir ab bhi hai dil mein bana liya hai makan to makan-numa kahna ye kahna hum ne hi tufan mein dal di kashti qusur apna hai dariya ko kya bura kahna ye kahna ho gae hum itne maslahat-andesh chale jo lu to use abhi khunuk hawa kahna ye kahna haar na mani kabhi andheron se bujhe charagh to dil ko jala liya kahna ye kahna tum se bichhad kar bikhar gaya 'tishna' ki jaise hath se gir jae aaina kahna