duniya mein ibaadat ko teri aae hue hain par husn-e-butan dekh ke ghabrae hue hain afsos ibaadat na teri ho saki hum se gardan nahin uthti hai ki sharmae hue hain ilzam nahin tur jo surma hua jal kar musa bhi tajalli se to sharmae hue hain main barhaman o shaikh ki takrar se samjha paya nahin us yar ko jhunjhlae hue hain kabe se na raghbat hamein ne dair ki khwahish hum khana-e-dil mein jo use pae hue hain hai kaun si ja ho jo tere jalwe se khali mazmun hum ab dil mein yahi lae hue hain zillat ke kharidar hue hirs ke bande hajat ke liye hath jo phailae hue hain jis qaum mein dekha to tajassus tera paya mabad tere har qaum mein thahrae hue hain 'bahram' ghazal aur bhi ek un ko suna de mushtaq teri bazm mein sab aae hue hain