asir-e-halqa-e-gesu-e-KHuban ho nahin sakta

asir-e-halqa-e-gesu-e-khuban ho nahin sakta
wo dil tu jis ko taskin de pareshan ho nahin sakta

teri qudrat se hota hai teri hikmat se hota hai
koi patthar kahin lal-e-badakhshan ho nahin sakta

mohabbat ho ki nafrat ho ye dil ke khel hain sare
na chahe dil to koi dushman-e-jaan ho nahin sakta

chhupa lete hain ba-dil mehr-o-mah ko apne daman mein
charagh-e-dagh-e-ulfat zer-e-daman ho nahin sakta

musibat hi se qadr-e-afiyat hoti hai duniya mein
na pesh aaya ho jis ko gham wo shadan ho nahin sakta

watan koi ho izzat jauhar-e-qabil se badhti hai
gul-e-sahra ka ham-sar khar-e-bustan ho nahin sakta

dil-e-insan hai muhtaj-e-ziya-e-aftab-e-ishq
baghair us ke kisi surat darakhshan ho nahin sakta

usi se ikhtiyar-o-jabr ka mafhum khulta hai
jo hona chahta hai koi insan ho nahin sakta

mitaya tu ne ai 'mahrum' har-ik naqsh-e-baatil ko
juda dil se tere kyun dagh-e-hirman ho nahin sakta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close