har aks mein jis ka mujhe jalwa nazar aaya wo aaina-khane mein akela nazar aaya jab dhyan gaya apni taraf khud pe nazar ki sahra bhi hamein khak ka zarra nazar aaya tha mahw-e-safar apni hi takmil ki jaanib jo naqsh bhi dekha wo adhura nazar aaya ek roz achanak use dekha tha safar mein phir dur talak dasht mein dariya nazar aaya ab shahr mein malum karun kis se ye 'zulfi' wo mujh ko dikhai na diya ya nazar aaya