asir-e-halqa-e-zanjir-e-jaan hua hai ye dil

asir-e-halqa-e-zanjir-e-jaan hua hai ye dil
kisi pe rona kahan mehrban hua hai ye dil

ek iztirab-e-musalsal mein kat rahi hai hayat
shikar-e-sazish-e-sud-o-ziyan hua hai ye dil

jabin ba-khak nahum chashm bar-sitara-e-subh
kabhi zamin kabhi aasman hua hai ye dil

bahut dinon se thi maddham charagh-e-dard ki lau
khud apni aanch se shoala-ba-jaan hua hai ye dil

khumar-e-hijr tha aisa ukhad gain sansen
giraft-e-dard thi aisi fughan hua hai ye dil

jahan ne dekha nahin aisa girya-o-matam
jab apni maut pe nauha-kunan hua hai ye dil

hamara kya hai ki bas hum hain ek musht-e-ghubar
khuli faza jo mili pur-fishan hua hai ye dil

ajab qayam-o-safar ka hai marhala 'mohsin'
thahar gai hai nazar to rawan hua hai ye dil


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close