asir-e-wada-e-be-etibar baiThe hain

asir-e-wada-e-be-etibar baithe hain
jahan pe chhod gai thi bahaar baithe hain

nasim-e-subh-e-bahaari idhar na aa ki idhar
fareb-khurda-e-fasl-e-bahaar baithe hain

bagule raqs mein phir aa gae hain aur hum log
abhi to jhad ke gard-o-ghubar baithe hain

hai lab pe aah falak par nigah tang zamin
watan-nasib gharib-ud-dayar baithe hain

kabhi to hath pahunch jaega gareban tak
kabhi to aaegi fasl-e-bahaar baithe hain

hain un ke hath shahidon ke khun se tar 'nashtar'
wahi jo surat-e-parwardigar baithe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close