bahaar aane se pahle shajar mein phul khile

bahaar aane se pahle shajar mein phul khile
misal-e-khar khizan ki nazar mein phul khile

ab un ka husn koi kaise dekhne aae
uge hain rah mein kante jo ghar mein phul khile

nazara dekhne aa pahunche log sahil par
kisi ne kah diya un se bhanwar mein phul khile

kis ehtimam se manzil pe mujh ko pahunchaya
hazar mein khar uge aur safar mein phul khile

khuli hai der se ai 'shan' aankh kya meri
yaqin hi nahin aata sahar mein phul khile


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close