asir-e-wahshat-e-hijran ko bad-guman na samajh garan ye waqt sahi mujh ko sargiran na samajh kuchh aur bhi yahan uslub hain balaghat ke mujhe sukut-o-sada ke hi darmiyan na samajh wo ek lamha-e-qurbat gurez-pa hi sahi judaiyon ka ye manzar bhi jawedan na samajh ye kya ki lakh sukhan-ha-e-guftani hain magar wo samne ho to phir kaam ki zaban na samajh kabhi to tu meri waraftagi ki zad mein bhi aa mujhe hi apni mohabbat ka tarjuman na samajh safar ke ranj hain apni jagah magar 'sarmad' jo tajrabaat hain raston ke raegan na samajh