dard hi zist ka unwan hua jata hai

dard hi zist ka unwan hua jata hai
kaun paiwast-e-rag-e-jaan hua jata hai

dil uchhalta hai khushi se ki wahi shokh hasin
meri tanhai ka mehman hua jata hai

ek irada hai ki aaghosh-dar-aghosh hua
ek lamha hai ki ruman hua jata hai

ek masti hai ki aankhon mein bhari rahti hai
ek tabassum ki khumistan hua jata hai

sharm ke bojh se palkon ka kabhi jhuk jaana
maut ka apni ye saman hua jata hai

hae kya mahshar-e-khamosh jagaya tu ne
dil ke aashob pe ehsan hua jata hai

jitna dukh tha mere sine mein simat aaya hai
ek nirala sa ye mehman hua jata hai

main shahid-e-rah-e-ulfat hun azal se 'sarmad'
yahi maslak mera iman hua jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close