asir-e-zat hun apne badan ke andar main

asir-e-zat hun apne badan ke andar main
rihai qaid-e-anasir se paun kyun-kar main

guzar gae kai tufan qarib se ho kar
khada hua sar-e-sahil hun kab se shashdar mein

kise aziz nahin apne baam-o-dar lekin
hua hun soch samajh kar hi kuchh to be-ghar main

safar mein rah gai sharm-e-barahnagi meri
ghubar-e-rah ki odhe hue hun chadar main

tarashta main khud apne nae nae paikar
karam se aap ke hota jo dast-e-but-gar main

mere wajud ki had hi nahin koi lekin
ye aur baat ba-zahir nahin samundar main

safar hayat ka tai ho raha hai ai 'raghib'
hua sawar anasir ke jab se rath par main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close