sare gamle sukh gae hain kaisa mausam aaya hai

sare gamle sukh gae hain kaisa mausam aaya hai
gulshan gulshan virani hai phul hain aur na sabza hai

ahl-e-khirad kuchh soch rahe hain chhodo un ka zikr hi kiya
diwane bhi muhr ba-lab hain shahr mein ek sannata hai

raat andheri khauf ka aalam ja ke kahan sar phodenge
band kiwadon par dastak to diwanon ka hissa hai

ahl-e-basirat soch se aari kale dhande gore log
hum ne be-kari ke dinon mein jaane kya kya socha hai

ghar ke aangan mein cheri ke phul khile to kya hasil
qarya qarya virani hai gulshan gulshan ujda hai

akhbaron mein chhapwata hun nai nai ghazlen aksar
aaj mere diwane-pan ka sare shahr mein charcha hai

'raaz' tumhein ye kya sujhi hai jo sher sunane nikle ho
ye lashon ka shahr hai is par ifriton ka saya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close