asiron mein bhi ho jaen jo kuchh aashufta-sar paida abhi diwar-e-zindan mein hua jata hai dar paida kiye hain chaak-e-dil se bu-e-gul ne baal-o-par paida hawas hai zindagani ki to zauq-e-marg kar paida ye musht-e-khak agar kar le par-o-baal-e-nazar paida to auj-e-la-makan tak hon hazaron rahguzar paida jamal-e-dost pinhan parda-e-shams-o-qamar paida yahi parde to karte hain taqaza-e-nazar paida mohabbat tere sadqe tu ne kar di wo nazar paida jidhar aankhen uthin hota hai husn-e-jalwagar paida shab-e-gham ab manae khair apne jeb o daman ki rahe dast-e-junun baqi to kar lenge sahar paida mazaq-e-sar-bulandi ho to phir dair o haram kaise jabin-sai ki fitrat ne kiye hain sang-e-dar paida nisar is lan-tarani ke ye kya kam hai sharaf us ka dil-e-khuddar ne kar li nigah-e-khud-nigar paida jawano ye sadaen aa rahi hain aabshaaron se chatanen chur ho jaen jo ho azm-e-safar paida wo shabnam ka sukun ho ya ki parwane ki betabi agar udne ki dhun hogi to honge baal-o-par paida 'suhail' ab puchhna hai inqilab-e-asmani se hamari sham-e-gham ki bhi kabhi hogi sahar paida