adu to chhod diye khair-khwah mar diye muhafizon ne kai be-gunah mar diye bahut satae hue lashkaron ki haibat ne darun-e-qasr kai baadshah mar diye lahu tadapne laga hai ki surkh noton ne bhari kachhari mein sare gawah mar diye andhera jab bhi badhaya gaya zamane mein charagh-e-haq ne sabhi ru-siyah mar diye jab aai baat kabhi hamsari se masnad par to sarbarahon ne kuchh sarbarah mar diye nahin hai waqt sa 'adil' koi yahan jis ne kulahen rol din aur kaj-kulah mar diye