ata-e-gham pe bhi khush hun meri khushi kya hai raza talab jo nahin hai wo bandagi kya hai teri nigah ki naqqashi-e-hasin ke siwa tu hi bata mera mafhum-e-zindagi kya hai sitam-shiar jafa-ashna wafa-dushman ye nang-e-azmat-e-adam hai aadmi kya hai tera tasawwur-e-rangin agar na ho shamil bahaar-e-gulshan-e-imkan mein dilkashi kya hai zamana aap ka kahta hai jis ko aks-e-jamil nazar utha ke to dekho ye chandni kya hai tamam umr qafas mein guzar di hum ne khabar nahin ki nasheman ki zindagi kya hai