diwaron mein dar hota to achchha tha apna koi ghar hota to achchha tha us ka rangin aanchal odh ke so jate aur aisa akasr hota to achchha tha rang aa jate mutthi mein jugnu ban kar khushbu ka paikar hota to achchha tha baadal parbat jharne ped parinde chup wo bhi sath agar hota to achchha tha kyun aawara phirte suni galiyon mein koi agar ghar par hota to achchha tha