aur ab ye kahta hun ye jurm to rawa rakhta main umr apne liye bhi to kuchh bacha rakhta khayal-subhon kiran-sahilon ki ot sada main motiyon jadi bansi ki lai jaga rakhta jab aasman pe khudaon ke lafz takraate main apni soch ki be-harf lau jala rakhta hawa ke sayon mein hijr aur hijraton ke wo khwab main apne dil mein wo sab manzilen saja rakhta inhin hadon tak ubharti ye lahar jis mein hun main agar main sab ye samundar bhi waqt ka rakhta palat pada hun shuaon ke chithde odhe nasheb-e-zina-e-ayyam par asa rakhta ye kaun hai jo meri zindagi mein aa aa kar hai mujh mein khoe mere ji ko dhundta rakhta ghamon ke sabz tabassum se kunj mahke hain samay ke sam ke samar hain main aur kya rakhta kisi khayal mein hun ya kisi khala mein hun kahan hun koi jahan to mera pata rakhta jo shikwa ab hai yahi ibtida mein tha 'amjad' karim tha meri koshish mein intiha rakhta