shahr-dar-shahr dida-war bhatke zoam-e-baatil mein tajwar bhatke khud-sari mein jo mo'atabar bhatke ham-safar un ke be-khabar bhatke fan ki pagdandiyon pe chalte hue kabhi bhatke to be-hunar bhatke hum jo bhatke to na-shanasa the rahbar kyun idhar udhar bhatke ek aalam ko jis ne bhatkaya kabhi yun ho ki wo nazar bhatke apni manzil ka ilm hote hue phir bhi hum jaan-bujh kar bhatke zindagi ke libas-e-khasta mein dhup mein hum barahna-sar bhatke kis mein himmat thi hum ko bhatkata apni khwahish pe umr-bhar bhatke hae us gul-badan ki hasrat mein yun bhatakna na tha magar bhatke us ko bhi pa sake nahin 'farhat' jis ki khwahish mein dar-ba-dar bhatke