aur ai chashm-e-tarab baada-e-gulfam abhi dil hai be-gana-e-andesha-e-anjam abhi baada-o-saqi-o-mutrib ka na lo nam abhi gard-alud hai aaina-e-ayyam abhi dil hai majruh par-o-baal shikasta hamdam dam se chhut ke bhi hun main tah-e-dam abhi mani-o-maqsad-e-hasti ka samajhna malum aql hai sirf parastari-e-auham abhi ishrat-e-jalwa-e-be-bak mubarak ai ishq dida-o-dil hain magar tishna-e-paigham abhi gham nahin sab pe agar chashm-e-karam hai teri gham to ye hai ki sitam bhi hai tera aam abhi ai subuk-sair-e-nazar ek payam-e-rangin hai harif-e-gham-e-dil gardish-e-ayyam abhi dawat-e-shauq ba-unwan-e-sitam bhi to nahin us pe ilzam ki hai jazba-e-dil kham abhi tu ne kya chiz bana di nigah-e-sehr-taraaz wo jo thi shisha-e-dil mein mai-e-be-nam abhi zindagi manzil-e-maqsud se aagah nahin us ki mearaj hai parwaz sar-e-baam abhi kis ko ye hosh ki paigham-e-mohabbat samjhe dil hai warafta-e-rangini-e-paigham abhi