aur bhi kuchh ho inayat ke liye zindagi kam hai mohabbat ke liye thik hai husn-parasti bhi magar koi chehra nahin nafrat ke liye raat-din kaam pade rahte hain waqt milta nahin fursat ke liye zulm ke shahar mein insaf kahan muntazir hum hain qayamat ke liye wo takalluf hi se milta hai hamein dil machalta hai shararat ke liye log karte hain wafa ka shikwa hum taraste hain murawwat ke liye kis tarah baat chalegi aage ham-sukhan chup hai shikayat ke liye kaun rishton ko nibhata hai 'amr' har talluq hai zarurat ke liye