aur kis ko mere jine se ilaqa hoga

aur kis ko mere jine se ilaqa hoga
koi hoga mera qatil to masiha hoga

bhid ki bhid use dhundne nikli hogi
ek wo shakhs jo har bhid mein tanha hoga

ret mein pyas ke dozakh ke siwa kuchh bhi nahin
mere sukhe hue honton mein hi dariya hoga

dekh kar tujh ko jo nam ho gain meri aankhen
tujh pe jo waqt pada mujh pe bhi guzra hoga

bas isi dhun mein pas-o-pesh na dekha hum ne
us ke aage bhi zara dekh to len kya hoga

main to badnam bhi hun shahr mein barbaad bhi hun
aap ko baat nibhane ka saliqa hoga

mar gae rah pe ye aas liye aankhon mein
koi murda to kisi sine mein zinda hoga

yunhi to raundte phirte nahin be-khauf-o-khatar
tum ne lashon se hi ye shahr basaya hoga

baat kuchh hogi jawani ke dinon se 'qaisi'
qais se apna ta'alluq jo batata hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close