bala-kashon pe kahan pyas ka azab na tha

bala-kashon pe kahan pyas ka azab na tha
wahan pe mana tha pani jahan sarab na tha

shikast-e-khwab ka matam tha chaar su lekin
tamam shahr ki aankhon mein koi khwab na tha

na aastinon pe milta na khak-e-maqtal par
khuda ka shukr hamara lahu sharab na tha

idhar gunah udhar hasrat-e-gunah ka bojh
fishaar-e-qabr ki tamsil tha shabab na tha

bika tha zehn o dil o jaan samet mandi mein
alag zamir ke kya dam the hisab na tha

ba-tarz-e-khas thi maqsud mujh ko shohrat-e-am
labon pe tha mere sine mein inqalab na tha

zamana-saz tha 'qaisi' na zar-shanas magar
aziz kaise tha jo shakhs kaamyab na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close