aur koi chaara na tha aur koi surat na thi us ke rahe ho ke hum jis se mohabbat na thi itne bade shahr mein koi hamara na tha apne siwa aashna ek bhi surat na thi is bhari duniya se wo chal diya chupke se yun jaise kisi ko bhi ab us ki zarurat na thi ab to kisi baat par kuchh nahin hota hamein aaj se pahle kabhi aisi to haalat na thi sab se chhupate rahe dil mein dabaate rahe tum se kahen kis liye gham tha wo daulat na thi apna to jo kuchh bhi tha ghar mein pada tha sabhi thoda bahut chhodna chor ki aadat na thi aisi kahani ka main aakhiri kirdar tha jis mein koi ras na tha koi bhi aurat na thi sher to kahte the hum sach hai ye 'alwi' magar tum ko sunate kabhi itni bhi fursat na thi