nai zamin na koi aasman mangte hain bas ek gosha-e-amn-o-aman mangte hain kuchh ab ke dhup ka aisa mizaj bigda hai darakht bhi to yahan saeban mangte hain hamein bhi aap se ek baat arz karna hai par apni jaan ki pahle aman mangte hain qubul kaise karun un ka faisla ki ye log mere khilaf hi mera bayan mangte hain hadaf bhi mujh ko banana hai aur mere harif mujhi se tir mujhi se kaman mangte hain nai faza ke parinde hain kitne matwale ki baal-o-par se bhi pahle udan mangte hain