aur sab bhul gae harf-e-sadaqat likhna rah gaya kaam hamara hi baghawat likhna lakh kahte rahen zulmat ko na zulmat likhna hum ne sikha nahin pyare ba-ijazat likhna na sile ki na sataish ki tamanna hum ko haq mein logon ke hamari to hai aadat likhna hum ne jo bhul ke bhi shah ka qasida na likha shayad aaya isi khubi ki badaulat likhna is se badh kar meri tahsin bhala kya hogi padh ke na-khush hain mera sahab-e-sarwat likhna dahr ke gham se hua rabt to hum bhul gae sarw qamat ko jawani ko qayamat likhna kuchh bhi kahte hain kahin shah ke musahib 'jalib' rang rakhna yahi apna isi surat likhna