aur safar lamba hua har gam par thak ke jab baithe kabutar baam par aa sakhi dohraen phir bachpan ke din aa sakhi dalen hindole aam par ye alag daftar mein ja kar gum hue khair se lag to gae wo kaam par ek kata ram ne sita ke sath dusra ban-bas mere nam par gyarahwin ke chand to chamka to tha shah ke lutte hue khayyam par bandh mat jude mein ulte hath se tu ba-zid hai to ye gajre tham par mas ki jab pyas nirgun hai sakhi gopiyan shaida huin kyun shyam par in gulabon par sada ye titliyan nit karen bisram jhonke pam par ham-safar ye tu ye main ye tat ye jhil phul waren is anokhi sham par pahle jo thi mehrban hum sab ki man ab wahi dharti hai bikti dam par shab dhali uthne lage hotel se log chae ka ye daur is ke nam par