aur talim-e-jihaalat nahin di ja sakti qaum ko itni aziyyat nahin di ja sakti pyaz hazir hain muhayya hain yahan jute bhi ek lagatar saubat nahin di ja sakti aap ko sachchi gawahi ki ijazat hai magar aap ki jaan ki zamanat nahin di ja sakti zindagi jin ki guzarti hai ghane shoalon mein un ko dozakh ki bashaarat nahin di ja sakti qissa-e-zulm simatne ki ghadi aa pahunchi ab ise aur tawalat nahin di ja sakti hum ki pahchan se guzre hain wafa ki khatir is se badh kar koi qimat nahin di ja sakti un ke zakhmon ko namak-dan muhayya kar do jin ko marham ki suhulat nahin di ja sakti ek riwayat hai ki jo log hon tajir-pesha un ke hathon mein qayaadat nahin di ja sakti koi darkhwast liye aaya to kah denge use bam dhamakon ki ijazat nahin di ja sakti aankh badli hai to phir aks se parda kar lo aaine ko nai hairat nahin di ja sakti likh ke jo bhej diya hai wo bayan nashr karen ab sawalat ki jurat nahin di ja sakti dard-mandon ke khazane se na bakhshish mango dan mein dard ki daulat nahin di ja sakti