lahu ki aag mein dil ka samundar dub jaega badan ke raaz apne sath le kar dub jaega udega baadban ban kar mohabbat se bhara ye dil talab se ho gaya khali to patthar dub jaega ye dil sairab halki barishon mein ho to ho warna achanak lahr mein banjar ka banjar dub jaega tamasha dekhne walon ko kya malum aakhir mein baraste qahqahon ke baad joker dub jaega karega tut ke jo kaenati raqs gardish mein khud apni mauj mein man ka qalandar dub jaega bhale tairak ho kaisa use thakna to hai aakhir guzarte waqt ki tah mein sikandar dub jaega guman us ko hai mera hi makan kachcha hai basti mein yaqin mujh ko mere ham-saya ka ghar dub jaega abhi pani se bahar hai zara si dubti kashti faqat do-chaar lamhon mein ye manzar dub jaega hamare waste kholi gai hai rah pani mein hamare baad aaega jo lashkar dub jaega safar mein hai to bahte paniyon ki mauj ka sathi kinare par pahunch ke dil ka langar dub jaega hamare dekhte hi dekhte ubhre nuqush-e-subh hamare samne suraj ka paikar dub jaega hamein le jaega tuta hua takhta kinare par magar saman sab kashti ke andar dub jaega