auron ka tha bayan to mauj sada rahe khud umr bhar asir-e-lab-e-muddaa rahe misl-e-habab bahr-e-gham-e-hadsat mein hum zer-e-bar-e-minnat-e-ab-o-hawa rahe hum us se apni baat ka mangen agar jawab lahron ka pech-o-kham wo khada dekhta rahe aaya to apni aankh bhi apni na ban saki hum sochte the us se kabhi samna rahe gulshan mein the to raunaq-e-rang-e-chaman bane jangal mein hum amanat-e-baad-e-saba rahe surkhi bane to khun-e-shahidan ka rang the raushan hue to mashal-e-rah-e-baqa rahe 'amjad' dar-e-nigar pe dastak hi dijiye is be-karan sukut mein kuchh ghalghala rahe