bina-e-arz-o-falak harf-e-ibtida hun main bikhar gaya to samajh lo ki intiha hun main yunhi sulagte raho aag ki qaba hun main tumhein bachaunga kya khud sulag raha hun main uthae phirta hun be-shakhsiyat badan apna aur apne gum-shuda chehre ko dhundhta hun main ye kohar kohar se chehre dhuan dhuan aawaz tumhaare shahr mein shayad abhi naya hun main lahu lahu si khandar ki tamam inten hain kahan se niklun ki ek aah-e-na-rasa hun main nai hai mashq na jaane kahan pe gir jaun nafas ki dor pe kartab dikha raha hun main 'kamal' jhut hai yaro faqat fareb hai wo 'kamal' sach ko abhi tak talashta hun main