auron ki burai ko na dekhun wo nazar de han apni burai ko parakhne ka hunar de wo log jo suraj ke ujale mein chale the kis rah mein gum ho gae kuchh un ki khabar de ek umr se jalte hue sahraon mein gum hun kuchh der thahar jaunga daman-e-shajar de ek khauf sa tari hai gharon se nahin nikle tarsi hui aaankhon ko sarabon ka safar de sab apne charaghon ko bujhae hue chup hain ek aag si sine mein laga de wo sharar de