hara-bhara tha kabhi jhad sa badan mera ki aainon mein jhalakta tha bankpan mera charagh le ke mujhe dhundne nikalta tha mere baghair na rahta tha ham-sukhan mera siyahiyon ke bhanwar se nikal ke aaya hun dhula rahi hai ujalon se munh kiran mera siyah phul khila dhup ki munderon par hawa mein tang diya kis ne pairahan mera main reg-zar pe likkhi hui ibarat hun hawa chalegi to ud jaega badan mera bala rahi hai mujhe barf se dhaki choti pada hua hai chatanon ke ghar kafan mera shumar hone lage motiyon mein kankar bhi 'khalil' kaam to aaya kisi ke fan mera