auron mein KHud ko jaan-ba-lab DhunDte rahe

auron mein khud ko jaan-ba-lab dhundte rahe
ghairon mein apna nam-o-nasab dhundte rahe

suraj to raushni ke sahifon mein qaid tha
hum sab use pas-e-rukh-e-shab dhundte rahe

jo tha hamare sath har ek rang mein use
patthar ki ek haweli mein sab dhundte rahe

dhoka tha wo nazar ka magar is ka kya kahen
duniya ki bhid mein use jab dhundte rahe

wo tha tere mere rag-e-jaan ke hisar mein
dair-o-haram mein hi use jab dhundte rahe

milta nahin sukun teri bazm-e-hayat mein
jite ji hum to maut ke dhab dhundte rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close