KHirad ka nur basirat ki raushni le kar

khirad ka nur basirat ki raushni le kar
jabin-e-shauq jhuke zauq-e-bandagi le kar

rah-e-hayat ki zulmat hai do ghadi ke liye
wo aa rahe hain mohabbat ki raushni le kar

dimagh-o-dil mein abhi aap ke andhera hai
qadam badhaiye kuchh hum se raushni le kar

dilon ka bughz chhupae se chhup nahin sakta
na aao samne paigham-e-ashti le kar

khizan-rasida gulistan mein dil nahin lagta
ab aa bhi jao bahaaron ki tazgi le kar

har ek samt hain bikhre hue kai chehre
wufur-e-dard mein dubi hui hansi le kar

use bhi hum qad-o-qamat se jaan lete hain
phire hai chehre pe chehra jo aadmi le kar

tumhaari tarah se nazuk-mizaj hum bhi hain
badhao jam na tewar mein barhami le kar

ye baune nap rahe hain har ek ke qad ko
dil-o-dimagh mein sauda-e-khud-sari le kar

ai 'soz' bhulenge kaise sukhan-shanas unhen
guzar gae jo bahaar-e-sukhan-wari le kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close