auron ne us gali se kya kya na kuchh kharida hum kor-chashm us ke qadmon ki dhul lae daman samaaton ka phulon se bhar raha hun us se kaho ki apni baaton mein tul lae wahi-e-badan na utri us ki hamare dil par hum sirf us ki gard-e-shan-e-nuzul lae hum ko agar khushi hai to ye ki is jahan se be-barg-o-bar guzre fasl-e-fuzul lae thi sakht tegh-e-ikhraj us ke muqable par 'ehsas' jaisa sufi ahl-e-shumul lae