mujh se bichhde ho to rah jaoge tanha bhi nahin main tumhein yaad nahin aaunga aisa bhi nahin main ne daman bhi bachaya to gunahgar hua aur phir yun hua gharqab ki ubhra bhi nahin wo tera zabt-e-mohabbat ho ki duniya ka nifaq sab hi apne hain koi dard paraya bhi nahin qadr-dan chahne walon ke ajab hote hain us ne pahchan liya aur mujhe dekha bhi nahin main use bhul ke zinda bhi nahin rah sakta aur mera ahd mujhe puchhne wala bhi nahin