awwal awwal ki jawani mein ubaal aaya tha baad mein ja ke kahin zabt-e-kamal aaya tha mere wijdan ne bar-waqt bataya tha mujhe hijr ka khwab mujhe waqt-e-visal aaya tha ku-ba-ku phail gai us ke badan ki khushbu saf lagta hai wahi zohra-jamal aaya tha khud ko pane ke liye khud mein utar kar apne bahr-o-bar hath ki chhalni mein khangal aaya tha waqt ke jabr ki dahliz pe baitha jis dam gham ki tahrik se khushiyon pe zawal aaya tha ab to ahbab bhi dam bhar ko thithuk jate hain jab main aaya tha yahan kitna nihaal aaya tha 'abdi' kaun bataega mere baad use dubte waqt mujhe us ka khayal aaya tha