bheja hua hai aur na bulaya hua hai dard mehman ban ke dil mein samaya hua hai dard aankhon se ek jhadi hai musalsal lagi hui lagta hai aashiqi ka sataya hua hai dard hum hain jaza-e-tira-shabi mein gundhe hue apni raza se dil se lagaya hua hai dard jaise milae rind-e-kharabaat mai se mai hum ne bhi sham-e-gham mein milaya hua hai dard jis ishtiha-e-ishq ko sadiyan guzar gain mushkil se is maqam pe laya hua hai dard din karha-e-mashq-e-zamana mein kat kar shab ki riyazaton se kamaya hua hai dard pahle pahal to dard wara-e-guman tha aur ab surur-e-zabt ka bhaya hua hai dard ek fard-e-na-shanas ki chahat mein 'abdi' muddat hui ki dil ne bhulaya hua hai dard